Quran-o-Itrat Academy
| Home Page | Ask Questions | Topic wise Questions |
Search Question |

 Back 15 Current Questions


  Istelahaat(Fiqhi Terms)
Ques. ID 3032 

  Print   

Question salam. me phle bhi do baar ye sawal kar chuki hn lekn apne reply nahi kia k ahtiat e wajib aur ahtiat e lazim same hn ya nahi? agar same nahi tu ahtiat lazim ki definition kia he ?aur mirror k samne namaz parhna makroh he k mubah?plz reply. 
Country  karachi - pakistan
Answer 1) Agar mujtahid kisi kaam k wajib or lazim honay ka istefaada ayat aur riwayaat se is tarah karay k is ka khuda ki taraf munsoob karna mumkin ho to os ki tabeer lafz “wajib” se ki jati hay aur agar wajib or lazim honay ko kisi aur zariay se maslan aqli daleel se samjha ho is terha k is ka khuda ki taraf mansoob karna mumkin na ho to is ki tabeer lafz lazim se ki jati he. Ethiat e wajib aur eyhiat e lazim me isi farq ko peshay nazar rakhna chahae, laikin muqallid k lie maqam e amal me “wajib” aur “lazim” k darmian koi farq nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) fiqhi istehilat pg # 477 , 478) 2)aaynay(Mirror) k saamnay namaz perhna makhroh hay. (Ref :e-mail Rcvd Ayatullah Sistani(d.b),dated: 19/03/10). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Istelahaat(Fiqhi Terms)
Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3115 

  Print   

Question Whats the tashreeh of word "Salle" in Durood? Is there any resemblance in "salle" and "Salaat"? 
Country  Lahore - Pakistan
Answer “salle” means “tu rehmat baijh” “Sallat” means “namaz or dua”  
Topic Istelahaat(Fiqhi Terms)
Mujtahid Aayat-ul-Allah Khumeni 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3090 

  Print   

Question ahtalaam kia ha.? or ek mahinay ma ketne dafa hona chai . or ye kun hota ha.? 
Country  karachi - pakistan
Answer sotay main(yani neend ki halat main) mani k kharij honay ko ethilam kehtay hain.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),tauzeehul masa’il, maslah#1571). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Istelahaat(Fiqhi Terms)
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy



  Aqaid
Ques. ID 11907 

  Print   

Question Mujhe alah se khubsurati mangne mai dar lagta hai,kahin jayaz hai ya nai,r kya agar ladki wednesday born hoti hai to parents ke liye garibi le kar aati hai ,kya yeh sach hai,mai r meri behan dono wednesday born huwe hain r sabi humko yahi kahete hai, 
Country  Bangalore - INDIA
Answer 1-Dua: Khuda ne dua k qabool kerne ka wada kia he or is ki koe shara,it nahi hain.jo bhi khuda se dua kerta he woo s ko jawab daita he.or ehlay marifat liay wohi kaafi he or agar dua ki lazzat ko mehsoos karay tu os ko phir kisi cheez ki zarorat nahi hogi.Laikin kuda se jo dua ki jati he oski tehkeek kerna (faiday mand hona) dua ki shara,it main se hay jo k insane ki quwat se bahar he, Q k baaz auqaat insane kisi cheez ka talab gaar hota he jab k os main insane ki maslehat nahi hoti or mumkin he k woo s k natijay ki taraf mutawajjah nah ho k ye cheez os k liay faiday mand he, ya os cheez ki maslehat ko jaana os k liay na-mumkin ho ya o ski khahish nizaam e takwini(kaaynaat ka nizam) se takrao rakhne wali ho.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=827020&id=904 ) . 2-Jee nahi, aisi koe baat nahi hay k jo lerhki Wednesday k din paida ho wo apny waaldain k liay ghaareebi lati hay.(Ref: Email rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 03-01-12). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Aqaid
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 11590 

  Print   

Question sir kia chand grehin ki waja say hamal ger sakta hay. Meri bivi ka hamal 2 month k bad zaya hogaya. Or jis din zaya howa osi din chand grehn ta . Or sir may kitnay dino bad dobara olad k liye jima kar sakta ho.hamal k doran kia ehtiyat karna zarori hay. Ap k jawab ka muntazir . 
Country  mardan - pakistan
Answer 1. Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). 2. Haiz or nifaas k doran biwi se jima kerna haram hay.(Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah# 448, 504). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Aqaid >> Girhan(Soraj/Chand)
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 11592 

  Print   

Question Paregrant aurat ko chandargarhan dekhne se koi nukshan hai kiya ? 
Country  Dhanbad - India
Answer Chand girhan or soraj girhan ka hamilah aurat par koe asr nahi hota. (Ref: Email rcvd from, http://alsistani.org/a, dated: Nov 6, 2011). 
Topic Aqaid >> Girhan(Soraj/Chand)
Mujtahid Paregrancy 
Answered By Quran-o-Itrat Academy



  Akhlaqiat/Muharramat
Ques. ID 12647 

  Print   

Question assalam o alikum..mjhe please aurtoon key wazu karneka sahi tareqa bata dien.. k monthly mences key baad or hubby k sath sath sex key baad paak hone ka tariqa bhi bata dien 
Country  pakistan - karachi
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1- Wuzu ki niyat se sub se pehlay chehray ko lamba,e(lengh) main peshani k oper os jagah se lay ker jahaan se baal ugtay hain thorhi k aakhiri kinaray tak dhona zarori hay or chorha,e(width) main beech ki ungli or angothay k phailao main jitni jagah aajaay osay dhona zarori hay.chera dhone k baad pehlay sedha haath or phir ulta haath kohni se lay ker ungliyoo k siro tak dhona zarori hay.or dono haath dhone k baad sar k aglay hissay ka masah wuzu k pani ki os tari(wetness) se kerna chahiay jo hatho ko lago reh gae ho,sar k 4 hisso main se paisahni se mila hoa aik hissa wo maqaam hay jahan masah kerna chahiay, is hissay main jahan bhi or jis andaaz se bhi masah karain kaafi hay.or sar k masah k baad wuzu k paani ki os tari se jo haatho main baqi ho pair ki kisi aik ungli se lay ker pair k jorh(joint) tak masah kerna zarori hay.or ehtiyaat e lazim ki bina par pair k masah main ultay pair ka masah sedhay pair k masah se pehlay nah kia jay.Laikin aik saath dono pairo ka masah kerna jaiz hay laikin ehtiyaat e mustahab hay k aik saath nah karain balkeh pehlay seedhay pair ka masah karain or os k baad ultay pair ka masah karain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 235,236,244,248,249,251,281) 2- Haiz k khatam hone k baad or hambistari k baad namaz perhne k liay or aisi hi dosri ibadaat k liay ghusl e janabat kerna wajib hota hay jis ka tariqa ye hay: 3- Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani (d.b), tauzee hul masail,maslah#360-365). Note#1: wuzu ki mazeed tafseel jaane k liay is link par click karain(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/35.htm). Note#2: ghusl ki mazeed tafseel jaane k liay is link par click karain(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/46.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Akhlaqiat/Muharramat
Mujtahid islam 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12663 

  Print   

Question lawat ki toba ho sakti hai?pehli bar lawat kiya to lawat karanewala jab bhi lawat karata hai uske gunah lawat karne wale par jate hai ya nahi?lawat karane wale ki kaise toba karai jae. 
Country  gujarat - india
Answer 1-Lawaat kerna or karwana dono hi gunah e kabira hain.or aisi baat nahi hay k lawaat kerne wala gunah gaar hay or jis k saath lawaat kia gaya ho wo gunah gaar nahi hay.haan ye or baat k agar os k saath jabran lawaat kia gaya ho or wo is par raazi nahi that u wo gunagaar nahi hoga.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#3, maslah#30, gunahaan e kabira, muallif ayatollah dastaghaib e sheerazi(r.h) part#1, pg#272-283). 2-Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417) 3-Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Akhlaqiat/Muharramat >> Gunah-e-Kabera
Mujtahid gunah 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12668 

  Print   

Question kya bivi ko lips kiss karsakte hai 
Country  maharashtra - india
Answer 1) Sohar aur biwi apnay badan k kisi bhi hissay ko doosray k badan k kisi bhi hissay se mass kar sakhtay hein.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236). 2)Jee haan, shohar or b.v aik dosray k honto(lips) ka bosa(French kiss) lay saktay hain.(Ref: e-mail rcvd from sistani(d.b), dated: Dec 5, 2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Akhlaqiat/Muharramat
Mujtahid lips kiss 
Answered By Quran-o-Itrat Academy



  Ibadaat
Ques. ID 12638 

  Print   

Question Mera sawaal yeh hai k Hm (males) ghusal (nahhatey) waqt wazu kaise kr skte hain or us ka tariqa kia hoga, please mujhe zara detailed me is ka answer dijiye. Thanx. 
Country  Karachi - Pakistan
Answer 1- Jis shakhs ne ghusl e janabat kia ho zaroori he k namaz k lie wazoo na karay. Balkeh ghusl istehaza e mutawasitah k siwa tamaam wajib ghuslo or maslah 634 main biyaan karda tamaam mustahab ghuslo k baad bhi namaz perh sakta hay. 2- Agar aap koe aisa ghusl kerna chatay hoon jo na tu wajib ho or na hi mustahab, tu aisay ghusl se wuzu nahi hojaay ga balkeh agar aap bawuzu hona chahtay hoon tu aap ko chahiaay ya tu aap ghusl se pehlay ya ghusl k baad wuzu karain. (Ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 389). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Ibadaat >> Wuzu >> Wuzu Ke Ahkam
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12639 

  Print   

Question Assalam-o-allikum mera sawal ye hai,ky kia namaz janaza buland awaz ky sath parhai ja sakti hai,aur ye ka as main suray fatiha bhi purah saktey hain kia.  
Country  karachi - pakistan
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. 1- Namaz e janaza main mustahab hay k imam e jamaat takbeerain or duain buland awaaz se perhay or muqtadi(jamaat main shareek namazi) ahista perhain. 2- Jee nahi namaz e janaza main sorah e fatiha nahi perhi jaasakti balkeh is main 5 takbiraat hain jin k dermiyaan bataay gaay azkaar perhna hotay hain. (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 598, 601) Note: in takbiraat or or in k dermiyaan perhay janay walay azkaar ki tafseel k liay aap is link par click karain.(Ref: http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Ibadaat >> Namaz >> Namaz-e-Mayyat
Mujtahid imam abu hanifa 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12671 

  Print   

Question mara sawal ye hai k.hy jima ky bad agar aurat jaldi gusul na kar saky to kia islam main ous ky leye koi reyait hai. kia vho ghar ky kamun sy farig ho ky gusul kar sakti hai??? 
Country  multan - pakistan
Answer Jee haan aurat apne gahr k kaamo se farigh ho ker ghusl e janabat ker sakti hay Q k ghusl-e-Janabat fauran kerna wajib nahi hay ghusl e janabat tu sirif namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat k liay wajib hota hay..(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 
Topic Ibadaat >> Ghusl >> Janabat Ke Ahkam
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy



  Muamilaat
Ques. ID 12634 

  Print   

Question Agar koi aurat Hamla (Pregnent) ho tou kiya us ko talaq (Devorce) ho sakti hai ya nahi 
Country  KARACHI - PAKISTAN
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Agar shohar ko maloom ho k b.v hamlah hay tu os ko talaq daina sahi hay chahay wo hamlah ho ya nah ho. Or agar shohar b.v ko haiz ki halat main talaq day day or baad main shohar ko pta chalay k oski b.v hamlah thi tu talaq batil hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Muamilaat >> Talaq
Mujtahid HANFIA 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12665 

  Print   

Question as salam,meri biwi hamela hai o maikemai hai,mai use aapne gharlana chata hu ,to wo khati hai 3 mahine pure hone par jaana ,nhi to kuch bhi pareshani hamal ko ho sakti hai, ky aisa kuch hai islam mai baraye karam jaldi bataye 
Country  aurangabad - india
Answer Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. jis aurat ka daimi nikah(permanent marriage) ho jay is k lie haram he k sohar ki ijazat k beghair ghar se bahar nikle chahae is ka nikalna sohar k haq k manafi na bhi ho. Magar ye k koe eham zurarat pesh aa jaay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2376 ) Note: layhaza bivi ko ye haq nahi hay k wo apne shohar ki ijzat k baghair os k ghar se bahar rahay ajb k wo os ko naan o nafaqqa bhi day raha ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Muamilaat >> Nikah >> Shaadi Biyah Ke Ahkam
Mujtahid gair iman masla 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12666 

  Print   

Question Assalam u Alaikum ,mai janna chahta hun ke ager shohar apni biwi ke sath kissing waghera kar raha hon , aur doodh us ke munh mai chala jaye, kiya wo biwi us ke shohar per talaq ho jati hai ? please Quran o Sunnat ki roshni mai is baat ko clear kar ke batain , Jazak Allah. 
Country  rawal pindi - pakistan
Answer Bivi ka dhoodh nigalna(Swallowing) ehtiyaat e wajib ki bina par haram haram hay.(E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Jan 31, 2012). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 
Topic Muamilaat >> Nikah >> Nikah Parhne Ka Tareka
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy



  Dua/Wazifa
Ques. ID 12678 

  Print   

Question Aslam o alaikum me kisi ko boht cahta ho aur me chata ho wo mera ho jai 
Country  Karachi - Pakistan
Answer Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) Note: Wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Dua/Wazifa
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12686 

  Print   

Question Asslamu alaikum mufti sahab mera sawa hain ke mere peche ek ghair mard padha hain main shadishuda hoon aur bolta hain tum ku chata hoon bahut paresha aur taklif deta hain main darood e tunjina 11 martaba aoozu billahi 41 marta ba har namaz ke baad aur isha ke baad 41 martaba padh rahii hoon mera peecha karta hain dhamki deta hain tm ku choduonga nahi aisa waisa karke pareshan karta hain maine phone no, bhi badaldiya phir bahi company main phone karke pareshan karta hain main dua e tassul bhi padhrahi hoon fajr ki namaz ke baat 14 din poore kiye, phit bhi bhut pareshan karta hain aur dhamki deta allh n kare mera ek baha bhi hai, meri zindagi ka sawal sahab please mujhe aisa wazeefa bataye ki wo mera peecha na kare mujhe phone karke pareshan na kare app ki bahut meherbani hogi iss ka hal mujhe bataye please allah hafiz  
Country  uttepradesh - india
Answer 1. Dushman per galba panay k lie muthi bhar khak (mitti) per surah e mujadila parhain aur dushman per phaink dain to dushman maghloob ho jay ga. (Ref : Kitab Payam e Shifa pg # 217) 2. Surah e Ahqaaf 3 bar parhein. Musibat tal jey gi. Har qism ki perashani ka liya surah e Mubarak e Anaam ayat no 17 (in yamsask . . . . . . .al khabeer) ko fajr say pehlay likh kar apnay paas rakhain. Inshallaha faida ho ga.(ref : kitab payam e shifa pg# 217 , 221) 3. jo shakhs surah e muzamil ko perashani k door honay ki niyat se namaz e isha k baad 11 bar parhay to ose khush hali naseeb ho gi. (ref : wazaif ul abrar pg # 49). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  
Topic Dua/Wazifa
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 12687 

  Print   

Question mera ap say sawal yeah hay k may apnay husbad ki dosri biwi hon pehli biwi say unki ki teen baytian hen abhi meray husband ain bayta chahtay hen.mujhy 7 month laga hay kia mumkim hay k abhi koi wazifa aisa karon k mera bayta paida ho? 
Country  Dubai - Dubai
Answer 1. Agar Sorah e meryam(Sorah#19) ki ayat# 5 or 6 ko likhain or os se pehlay bismillah Hir Rahmaanir raheem likh ker aurat ki qamar main baandhain tu os k haan baita paida hoga.(Ref; nawaay saliheen, pg#344). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 
Topic Dua/Wazifa
Mujtahid  
Answered By Quran-o-Itrat Academy