Quran-o-Itrat Academy
| Home Page | Ask Questions | Topic wise Questions |
Search Question |

 Back 15 Current Questions
Ques. ID 3995 

  Print   

Question Salam, Nikah kay 5 sal bad rukhsaty hue, dubar nikah parn cahye or nahi.  
Country  Mardan - Pakistan
Answer Nikah k baad jab bhi kabhi bhi rukhsati ho, dobara nikah ki zarorat nahi hoti.yaani is kaam ki wajah say(late rukhsati) nikah nahi toot ta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2349-2508).  
Topic  Niyyat k masail
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3967 

  Print   

Question MY AGE IS 33,NON OF ANY WORK OF MY BETTERMENT OF FUTURE IS COMPLETE PROPERLY OR IN TIME.I M JOBLESS TILL NOW .PLZ HELP ME WHAT I DO WHAT I RECITE 
Country  RAWALPINDI - PAKISTAN
Answer 1)Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” (یÇ ÑÒÇÞ ÇÑÒÞäی). 2)Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). (Ref: naaemul aamaal,pg#315).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3983 

  Print   

Question mera sawal ye hai k meri shaadi ko 4 saal ho gae hain lekin olad nahi hai tamam test kar wae hain lekin koi faida nahi hai plz humein koi dua ya koi asa tareeqa bataen k humen olad ki khushi mil jae ,,,,wasalam 
Country  bombay - india
Answer Wazifa aulaad k husool k liay: 1)jo aurat haamlah nah hoti ho,tu jab wo haiz(menses) say paak ho or wajib ghusl e haiz ker k paak ho jaay tu is ayat ko likh ker bartan main dhoay or aurat sotay waqt wo paani peelay or shohar ky saath hambistari(intercourse) keray.insha allah wo haamlah hojaay gi.wo ayat mubaarak sorah e arraaf ki ayat number 189 hay. (Ref: makhzan e amaliyaat, pg# 114). 2) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3978 

  Print   

Question Aslam o Alaikum Mera Name Muhammad Adnan hai aur main ek larki jis ka nam Zarmeen hai us se buhat piyar karta hon aur wo b mujse be inteha piyar karti hai.hum ek dusry se shadi karna chahty hien lakin hmary ghar waly nai man rahy aaap pls mufti sahib hamin koi wazefa aur taveez dain ta k hum Allah k Fazal o Karam se mill jain aur hmara Nikah ho jaye...... Allah aap ko zindagy dy...hmary liye Due - e - Khair karin Shukria 
Country  gujranwala - Pakistan
Answer Wazifa merd k rishtay k liay: 1) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76. 2) aik or wazifa ye hay k sorah aalay imran ki ayat # 73 or 74 ko lerkay k baazo(arm) per baandh diya jaay or nikah ka paighaam bhaijain tu insha allah paighaam qabool hojaay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 326-328). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 4) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). Wazifa aurat k rishtay k liay: 1) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76. 2) aik or wazifa ye hay k sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 329-330). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 4) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). wazifa bayan karne k sath aap ko in fiqhi masail ki tarf bhi mutwajjeh kiya jata hain k : Na Mehram se Dosti karna "HARAM" hain kionke is se haram mai parnay ka khauf hota hia. Chahey aahista aahista hi gunah ki taraf le jaye. Ref . Isteftat Agha Ayatullah Sistani 2) Aurat k lie na mehram Mard par Lazzat kay qasd sey nigah dalna Haram hai jabke lazzat kay qasd k bagair un hisso par nazar dale jinhe aam tor par chupana zaroori nahi masalan (sar,dono hath etc)to to aisa karna Jaiz hai magar in hisso kay ilawa baqi jism par nigah dalna Haram hai. Ref:Tauzeeh ul Masail Ayatullah Ayatullah Sistani(d.b)Prob No 2397).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3980 

  Print   

Question assalam o alaikum.mera name sanam he aur mera sawal ye hai k mera rishta ane me pata nahi kia rukawat he jo rishta nahi ata plz koi dua kijiye k sari rukawaten khatam hojain aur dusra sawal ye he k me job k liye test bhi deti hon pr kuch na kuch hota hai job milte milte us me koi na koi rukawat hojati hai mere bhai ko bhi job nahi mil rahi.hamare halat kab sahi hnge me bohat pareshan hon 
Country  hyderabad - pakistan
Answer Wazifa aurat k rishtay k liay: 1) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76. 2) aik or wazifa ye hay k sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 329-330). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 4) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). Job k liay: 1) Job milnay k liay sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). 2) Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” (یÇ ÑÒÇÞ ÇÑÒÞäی).(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3982 

  Print   

Question salam o likom.. sir i want know that king prown is hala or not,,plz reply me as soon as possible,,, 
Country  london - UK
Answer Prown(jheenga) halal hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Jaded fiqhi masail, maslah #162).  
Topic  Khanay Peenay kay Aehkaam
Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3991 

  Print   

Question Aoa respected sir.we r actually 2 sisters.one is elder,samreen mehroosh and i am the younger,zahra mufti.Sir the problem with us that they r lots of proposals for us in diff countries but neither proceed further.we hve already done no of wazifas but i dont know,where is the obstacle.Recently we came from omra.i am 25 and doctor and my elder sis is 26 and is a teacher.my mom name is najma.Plz kindly tell us some wazifa to receite so that we can find some suitable proposals asap.Thanxs,zahra mufti. 
Country  muscat - sultanate of oman
Answer 1) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76. 2) aik or wazifa ye hay k sorah taahaa ki ayat # 131 or 132 ko lerki k baazo(arm) per baandh diya jay insha allah jald rishta aay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 329-330). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 4) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3943 

  Print   

Question Is oral sex allowed in islam? if yes than for what extent? Kissing of private part of your spouse is allowed? 
Country  dammam - saudia
Answer By itself, there is no problem in doing so. However, one should refrain from eating semen or other abominable substances (khabaa’ith).(Ayat Ullah Khamnai(d.b),Email Rcvd,code# 48989430652db9f). 
Topic  Shadi Biah kay Masail
Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 4089 

  Print   

Question AOA! Mre nikah ko 2 sal ho chuke hai rukhsati ni hoe mje lagta hai mere shohr ksi dosri larkion me interested hai please mje koi wazaif batae k mere shohar k dil me mere liye mohabat barh jae or wo doosri larkion ko chor de.Or hamari shadi shuda zindagi bht achi guzre ic k lye b waziaf batae. Thanks. Khuda ap ki iqbal buland farmae. 
Country  islamabad - pakistan
Answer Wazifa Bivi or shohar k dermiyaan muhabbat k liay: 1) agar bivi or shohar main iktilaaf hay or dono ki aapas main muhabbat nahi hay tu sorah rome ki ayat # 21 ko musalsal 3 din tak 99 mertabah(99 times) kisi mithaas per dam ker k khilaa dain.tu insah allah ikhtilaaf door hojaay ga or dono main muhabbat paida hogi.(Ref: naeemul a’amaal,pg# 640-341) 2) kisi bhi jaiz muhabbat k liay 313 mertaba ye perhiay. “yaa lateef yaa wadood” (یÇ áØیÝ یÇ æÏæÏ) (Ref: naeemul a’amaal,pg#314).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3841 

  Print   

Question kia aik kanwari larki mutah ka haq rakhti hai?ya mutah ki kia shartain hain? 
Country  karachi - pakistan
Answer The marriage of a virgin girl should, by obligatory caution, be contracted with the permission of her father or paternal grandfather Translation: kawari lerki ko ehtiyaat e wajib ki bina per mustaqil nikah(permanent marriage) ya muta(temporary marriage) k liay apnay baap ya dada say ijazat laini chahiay.(yani ijazat laina laazmi hay.) .(Ayat Ullah Khamnaie(d.b),E-mail Rcvd Dated 22.07.2010 ).  
Topic  Mutaa
Mujtahid Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3861 

  Print   

Question salam .mera swal hay k agar koi jazbat main sharae qasam kha lay, k phir ye gunah nhi karounga , aor ab pachta raha ho, aor nafs us ko us gunah karny per magboor kar raha ho,aor wo qasam thorny ka erada kar chuka ho, to us ka kaffara kia aik jaisa hoga , aor usy kia karna chahiey 
Country  peshawar - pakistan
Answer (Gunah ko tark karma har shakhs k upar lazmi he chahe is ke liye koi qasam khai ho ya na khai ho) jo shaks qasam khaay zarori hay wo baligh or aaqil ho or apnay iraday or ikhtiyaar say qasam khaay.layhaza agar koe shaks jazbaat main aaker blia iradah ya bay ikhtiyaar qasam khaay tu aisi qasam sahi nahi hogi. (Ayat Ullah khoe(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2679-80).  
Topic  Qasam khanay kay Aehkaam
Mujtahid Aayat-ul-Allah Khoie 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 4000 

  Print   

Question Meri shadi k baad pehlay saal ramzanon main meray 6 rozay batil hogaye,hum jantay thay k manah hay phir bhi yeh gunah sarzad hogaya, main qaza or kufara donon ada kerna chahti hun, kia mujhay her rooz k badlay 60 maskeenon ko khana khilana hoga? or shohar k liye bhi yehi hukum hay?  
Country  Karachi - Pakistan
Answer Agar aap dono nay jaan boojh ker ramazan k rozay hambistari (intercourse) say baatil kiay hoon chahay merd ka uzo e tanasul (penis) aurat ki sharamgaah(vagina ) main mukammal daakhil nah hoa ho balkeh supari (khatna ka maqaam) ki miqdaar tak bhi daakhil hoa ho or mani(semen) bhi khaarij nah hoe ho tu aap dono par rozay ki qaza or kaffarah wajib hay.or agar uzo e tanasul aurat ki sharamgaah main supari ki miqdaar say kam daakhil ho or mani bhi kharij nah hoe ho tu roza baatil nahi hoga. Agar koe shaks bhool jaay k wo rozay say hay or hambistari karay tu os ka roza baatil nahi haga albattah agar hambistari k doraan yaad aajay k rozay say hay tu zarori hay k hambistari fauran terk ker day or agar aisa nah karay tu os ka roza baatil hay. Or agar rozay daar ramzaan main apni rozay daar bivi say hambistari karay tu agar os nay bivi ko majboor kia ho tu wo apnay rozay ka kaffara day or ehtiyaat e wajib ki bina per zarori hay keh apni bivi ka bhi kaffara (60 miskino ko khana khilana etc.) day or agar bivi habistari per razi ho tu dono per aik aik kaffara wajib hoga.or jin rozo ki qazo ko aglay ramzaan aanay say pehlay baja nah laa’in tu ehtiyaat e lazim ki bina per her din k liay aik mud(750g) ta’aam(food) bhi dain.is ko fidya e takheeri kaha jata hay. shohar mani nikaalnay k iraday k baghair bivi ka bosa (kiss) layna ya koe shehwat angaiz kaam karma mekhroh hay,haram nahi hay or nah hi is say roza baatil huta hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1565-1568, 1649,1629,1681) .  
Topic  Rozay kay Aehkaam
Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 4066 

  Print   

Question Maulana shahb mera naam Riyaz ha,me india se hu lekin iss wakt U.A.E me job kar raha hu,meri Biwi ka naam Mehrunisha ha,humari 1 beti bhi ha jo 7 saal ki ha,magar pata nahi meri biwi pichle 4 saal se jese mujhse nafrat si karti ha,bhot Na farmani karti ha,meri koi baat nahi sunti,wo india me hai,koi Wazifa bataye jis se ke meri biwi ke diL me mere Liye Mohabbat peda ho jaye,bhot tension rehti ha mujhe. 
Country   - India
Answer Sorah e mubaarka nisa ki ayat # 34 ka 7 baar perhna bivi k farma bardaar honay k liay bohat mufeed hay.(piyaam e shifa, pg#284-5). 
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 4069 

  Print   

Question A.O.A molana sahab mai bohat preshan hon mujay mali masial ka samna hai .mujay koi aesa wazifa bata dijyee k mera masla hal ho jaye mai ameer ho jaon ya koi prize bond nikal aye..plzzzz meri madad kajiyeeee plzzzzzzzz 
Country  lahore - pakistan
Answer 1) Sorah e talqaaq ki ayat # 2 & 3 ko her rooz 3 mertabah awwal or aakhir main 1 mertabah salawaat k saath perhna rizq main izafay ka sabab banta hay or rizq k band darwazay khul jaatay hain.( piyaam e shifa, pg#230). 2) 40 din tak her rooz sorah e muzamil perhi jay tu tang rozi walay ki rozi main wus’at aajaati hay(piyaam e shifa,pg#237).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 4083 

  Print   

Question i am jobless for last one year, where ever i apply i donot get any reply from there. no one calls me for interview and if there is any interview they donot call me for job. please give me something to read. 
Country  nowshera - pakistan
Answer Job k liay: 1) Job milnay k liay sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). 2) Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” (یÇ ÑÒÇÞ ÇÑÒÞäی).(Ref: naaemul aamaal,pg#315). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 4088 

  Print   

Question A/Salam Alaiqum Mera Sawal Yeh hai ke Meri Sadi ko 5 sal ho gay hai hamari 2 Bachchiya hai (2Ladki) hai. Dono Opretion ke jariye hua hai. Doctor Boltey hai ke Ab aap ko Ek Aur Aulad ho sakta hai. us ke baad agar aap aulad chahty hai to khatra ho sakta hai to kiya mein ek aur bachcha hone ke baad apne bewi ka Hamal ka opretion karwa sakta hoon jessase baad mein bachcha hone ka daar nahe rahta kiya yeh mein yeh kar sakta hoon? aur agar mein bachcha band karane ka apretion karwato hoon to kiya meri biwi Haaz aur Umrah ke liye ja sakti hai.  
Country  Dhanbad - India
Answer Aurat k liay jaiz hay k wo operation kerwalay keh ab bilkul bachcha paida nahi kray gi.ye is sorat main hay jab keh ye amal is aurat k liay nuqsaandah nah ho ya kisi uzo(Part) maslan bachcha daani k kaatnay say muta’alliq nah ho.albattah agar operation ka ye amal shohar k iawah kisi diosray k haath say anjaam pay or aisay maqaam ko daikhnay ka sabab ho jisay daikhna jaiz nahi hay or badan k aisay hissay ko choonay ka sabab ho jisay choona jaiz nahi tu is sorat main ye kaam jaiz nahi hay.albattah zarorat ki sorat main jaisa keh haamlah hona os k liay qaabil e zarar ho tu is ki ijazat hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail,Topic: Jadeed masa’il, maslah#72).  
Topic  Shadi Biah kay Masail
Mujtahid Aayat-ul-Allah Seestani 
Answered By Quran-o-Itrat Academy

Ques. ID 3927 

  Print   

Question As salam alekum mufti sahab mein bahut pareshaan huun.meri shaadi nahi ho rahi hai. and meri salary bhi nahi badh rahi hai. please bataye ki mein kya karoon. mujhe lagta hai ki kisi ne mere uper jadoo kara rakha hai please batayein ki mein kya padhuun allahhafiz 
Country  Agra - India
Answer Wazifa merd k rishtay k liay: 1) agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76. 2) aik or wazifa ye hay k sorah aalay imran ki ayat # 73 or 74 ko lerkay k baazo(arm) per baandh diya jaay or nikah ka paighaam bhaijain tu insha allah paighaam qabool hojaay ga.(Ref: Naeem ul aamaal pg# 326-328). 3) Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah jald rishta hojaay ga. .(Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41). 4) Shadi honay k liay Sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). Job k liay: 1) Job milnay k liay sadqa dain.sadqa har musibat or aafat ko taal daita hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), minhaajus saliheen,Part#2,albaabus saani-fis sadqa,maslah#1601). 2) Husool e rizq or taraqqi e rizq k liay 141 mertabah ye zikr perha jaay. “yaa raz’zaaqo urzuq’nee” (یÇ ÑÒÇÞ ÇÑÒÞäی).(Ref: naaemul aamaal,pg#315).  
Topic  WAZIFA
Mujtahid -- None -- 
Answered By Quran-o-Itrat Academy