Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salam o Alikum I have following Ques 01;can we do mutta with a sunni 02 can we marry with the girl whom i have done mutta after the time period mentioned is finish 03: can we do mutta with the girl who was my Ex wife 04:i have heard that we cant see the wife whole naked and cant suck the parts os her body is it rite Please answer as we can stay way from haram Allah Hafiz 
Answer 1: Shia mard ko agar apne shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf na ho to wo sunne larki se shadi kar sakta hai aur agar shia mazhab k tabdeel ho jane ka khouf ho to jaiz nahe hai (Ref : MinhajusSalaheen Ayatullah Sistani d.b. Part #3 , masla # 215,200,4th eidition) 2:Mard ye kar sakta hay kay jis aurat kay saath is nay pehlay muta kiya ho aur abhi us ki iddat khatam na hoi ho,us say daaimi aqd kar lay ya dobara muta kar lay,laikin agar muta ki muddat mukammal nahi hoi hay aur wohi shakhs is aurat kay saath daimi nikah parhay to ye nikah batil hay,laikin ye kar sakta hay kay baqi manda muddat usay bakhsh day aur is kay baad aqd-e-damimi karay.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.365...3:Jis aurat ko teen baar talaq dee jaey aur in talaqoo kay darmiyan dobara rujoo ya aqd hoa ho to wo shohar par haram ho jati hay ,haan agar un sharait kay saath jin ka zikr talaq kay aihkaam main kiya gaya hay wo aurat dosray mard say shadi karay to dosray ki mout ya is say talaq ho janay aur iddat guzar janay kay baad is ka pehla shohar dobara is kay saath nikah kar sakta hay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.362...4:Mian bewi aik dosray ka poora badan dekh saktay hain.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.327.In aazaa ko choosnay main koi haraj nahi magar ye kay ratoobat halaq say neechay utaarna jaiz nahi hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-2. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.