Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Salams.. ap ne mere question ka jawab nahi diya. plz is dafa i need answer. main ek larki se pyar karta hon wo b karti hai. hum dono ne phone p sex kia chat ki. aur sirf ek dafa miley us m kiss hwi ek dafa.. !! bt hamari intention shadi ki hai. tu kya ye gunnah maaf hosakta hai ? aur ab hum Allah se kis tarah madad mangen k hamare rishte m pareshani musibat na aye..? plz rehnmai farmaen 
Answer Kisi na-mehram aurat ka merd k badan ko haath lagana jaiz nahi hay or isi terah kisi merd ka na-mehram aurat ko chomna jaiz nahi hay.(Ref: A.sistani(d.b),jaded fiqhi masail, masalah # 259,239). Zina kerna gunah e kabira hay or isi terah merd ka apni biwi k siwa kisi or aurat se jinsi lazzat hasil kerna or isiterah kisi aurat ka apnay shohor k siwa kisi or merd se jinsi lazzat hasil kerna gunah e azeem hay.(Ref: (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30 ). Sachay dil say tauba karain Parwardigaar ne quran me wadah kia he k wo tauba karney walon ki tauba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba). Wazefa: Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76). Dua e tawassul ko her waqt perh saktay hain,laikin kisi khaas maqsad k liay is dua ko musalsal 14 dino tak rozana namaz e fajar k baad aik 2 rakat namaz e hajaat ada kernay k baad perh ker dua maangain. insha allah parvadigar aap k haq me jo behtar hoga wo karega. (Ref: Naeem ul aamaal pg# 40-41) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.