Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Sistani 
Question Mera sawaal yeh hai keh please INZAAL ke kia meanings hain? Or INZAAL ki soorat se kia muraad hai? Aksar phone per apne Fiance se baat kertay waqt cher chaar se agar wetness feel ho tou kia mujh per ghusl wajib hai? I am a woman. Also aksar finace ke samne atay waqt agar aisa kuch feel ho (or intention ghalat na ho) kia phir bhi ghusl wajib hai?  
Answer 1-Inzaal arabi zaban ka lafz hay jis ka matlab “mani nikalna”(discharging of semen) hay.(Ref: ferozol lughaat ,pg#130). 2-Inzaal ki sorat se murad ye hay k jis shaks k jism se mani nikalay tu is halat ko halat e janabat ya inzaal ki halat kaha jata hay. Is halat main 5 chezain haram hain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masa,il, Maslah#354 ). 3-wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.