Answer |
1- jo namazain aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah perhi hoon onki qaza wajib nahi chahay wo rozana ki wajib namazain hoon ya koe or hoon or isi terah jab aurat haiz ya nifaas ki halat main ho or soraj ya chand ko girhan lag jaay ya zalzala aajay tu os par namaz e ayaat wajib nahi hay or nah hi oski qaza hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1356)
2- jo rozay aurat ne haiz ya nifaas ki halat main nah rakain hoon tu ramzan k baad paaki ki halat main onki qaza kerna wajib hay.(Ref: A.Sistani(d.b),Minhaajus saliheen, part#1, maslah#1045 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|