Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalam alaikum , ji hume yah kehna hain ki ladies ko jo mahina (bleeding) aata hain toh is napaki se paak hone ke liye kyonsi quaranic niyat padhni chahiye? taki napaki se paak ho sake? koi toh aisi arbi main likhi means kuch toh hoga? please please humare sawal ka jawab dijiye.koi khata hui ho toh maf kariyega. 
Answer 1: Allah ne aurtoon ki takhleeq khuch is terah se ki hay k mukhtalif auqaat main on k badan se nuqsaandah khoon kharij hojata hay. Jab haiz , nifaas or istehaza k khoon aanay band hojain tu ghusl e haiz , nifaas or istehaza wajib ho jatay hain.is k tafsili ehkaam kitaab ‘tauzeehul masail” main derj hain. (Ref : Ehkaam e Islam, part#2, Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg # 47). 2: Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360-70). (Khuda aap ki taufiqaat main izafa fermaay)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.