Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Meri walida bemaar hain aur roza nahi rakh sakti. Please mujhay bataain keh roza tarak karanay ka fidya kia hay? 
Answer Agar aap ki walda waqti tour par beemar hain to unhain chahae k aglay saal say pehlay(aainda ramzan) is rozay ki qaza kar lain aur fidya wajib nhi hota hai lakin beemari door honay k bawajood jan booj kar rozay na rakhain to phir fidya wajib hota hai lakin agar beemari ki wajah say ramzan k rozay na rakhay aur beemari aainda ramzan tak lambi ho jae to jo rozay unhonay na rakhain ho un ki qaza wajib nahi ho gai lakin zaroori hai k har din k badlay (jitney rozay na rakhain ho ) aik mudd toam(gandum, roti wagira) faqeer ko dain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1674-78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.