Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question haiz ki halat mein quran majeed ki tilawat jaiz hai ya nehi??? 
Answer 1)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat e janabat or halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fassulat Ayat No.37,Sora Wannajm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.