Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question agr rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu kya roza toot jaye ga? Aur kya agr raat ko ehtalaam ho jaye tu sbha bghair ghusal k roza rakh saktay hain? 
Answer 1)Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai. 2)Aazaan subah tak jaan boogh kar ghusl e janabat na karna roze ko batil kardeta hai. (agar raat me ghusl janabt wajib ho jaay fajar k waqt se phele tak ghusl karna zaroori hai,). 3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko jaan bojh ker janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jab keh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571, 1553, 1630)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.