Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question slam me ye pochan chahta hu agar ramzan me gunnah(musht zani) ho jae to maufi mil sakti ha or cigarete haram hai islam me ya nahi 
Answer 1)Istimna(Musht zani) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462) 2)Agar rozay dar istemna karay to os ka roza batil ho jata hai. 3)Agar koe shakhs ramzan k roze ko istimna ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ikhtiyaar se aisa kia ho to is per rozay ki qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1569,1630) 4)Sachchay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=888 ) 5) Ehtiyat e wajib ye hai k rozay dar cigratte ka dhoha(smoke) halaq tak na pounchae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1587 ) 6)cigratte nooshi is surat me haram ho gi jab is se mustaqbil(future) me hi sahi, koe barha nuqsaan pounchta ho. Farq nahi parhta k is nuqsaan ka yaqeen ho, gumaan ho ya aisa eithmaal ho jis se uqlaa(ahl e ilm) khoof mah’soos karain. Laikin agar kisi baray nuqsaan ka khatra na ho, agar chahe kasrat se istemaal na karna ki wajah se ho , cigratte nooshi main koi haraj nahi. 7) Agar ba’qaidgee se cigratte nooshi se koi barha nuqsan pounchta ho to usa tark karna zurari he. Magar ye k cigratte nooshi tark karne se bhi itna hi barha nuqsaan pounchta ho ya is se barha bura nuqsaan pounchta ho ya cigratte nooshi tark karne se is qadar tang aa jaay jo aam halaat me na-qaabil e bardaasht ho. (ref : jadid faqhi masail , ques # 358 , pg # 218,219) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.