Answer |
1)namaz aur is jaisi doosri abadatain jinhain wozoo, ghusl ya tayummum k sath anjam dena zaroori hai agar is niyat sai anjam dain k sahi amal anjam dai rahi hoon, jaiz nahi hai.
2)Quran Majeed ki wo Ayaat Jin k Perhnay say sajda karna wajib ho jata hay on Ayaat ka halat haiz main parhna haraam hay.wo Ayaat Sora Sajda Ayat No.15,Sora Fus’si’lat Ayat No.37,Sora Wan najm Ayat No.62,Sora Alaq Ayat No.19 hain.Iskay Alawa Quran ko parhna, Saath rakhna,Iskay hashiay ko Choona aur tehreer k darmiyani hisso ko chona baaz mujtahid k qaul k mutabiq makhrooh hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 467) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|