Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question asslamualekum,, sir aap mujhe ye batayen ke agar koi raat ko musterbate kare or subeh uth kar naha le to kya uska roza jayez hoga...yaa agar musterbate karne se roza nahi hoga 
Answer 1)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. 3)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur janta ho k agar soe ga to subah tk bedar na ho ga ehtiyat e wajib ki bina par osay begair ghusl kiay nhi sona chahea aur agar wo ghusl krnay sai pehlay apni marzi sai so jae aur subah tk bedar na ho to is ka roza batil hai aur qaza aur kaffara donoo wajib hai. 4)Jo shakhs ramzan ki kisi raat junub ho jae aur yaqeen ya etminan rakhta ho agar wo so gya to subah ki azan sai pehlay bedar ho jae ga aur is ka pakka irada ho k bedar honay k baad ghusl kray ga aur is iraday k sath so jae aur azan tk sota rahay to is ka roza sahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-1600)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.