Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question A.O.A!! Haiz aor istehaza mein kiya farak hai? Plzz answer..  
Answer Hiaz ka khoon :- Haiz wo khoon hay jo aam taur per her mahinay chand dino k liay aurtoon k rehem se kharij hota hay or aurat ko jab haiz ka khoon aay tu osay haaiz kehtay hain. Haiz ka khoon aam taur per garha or garam hota ha or oska rung kala ya laal hota hay.wo taizi se or thorhi si jalan k saath kharij hota hay. Istehaza ka khoon:- Autoon ko jo khoon aatay rehtay hain on main se aik khoon istehaza hay or aurat ko khoon istehaza aanay k waqt mutehaza kehtay hain. Khoon e istehaza ziyada ter zerd rung ka thanda hota hay or fishar or jalan k baghair kharij hota hay or garha bhi nahi hota laikin mumkin hay k kabhi kala ya laal or germ or garha ho or jalan k saath kharij ho.(Ref: A.sistani d.b, tauzehul masail, maslah#390, 432). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.