Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aslam o alalikum . main pochna chata hun ke main namz parhta hun per moghe problem hain ke jab main apne wife se bat karo on the phone ya waise ya larki ko dekhoo yah to moghe qatre ate hain main bar bar naha nahi sakta to ki main os halat main namaz par loo ya na agher nahi parv sakta to main kabhi nahi par paon ga agher oar sakta hun to kia karo plz main bohat paresha ho namaz ko le ke . thanks i am waiting your answer thanks  
Answer Wo ratoobat(liquid qatre) jo khabi kabar shehwat ubhrnay par mard ki sharamgah se kharij hoti hai use Mazi kehtay hain aur wo paak hai(matlb ap namaz parh sakte hen). Aur wazoo ko bhi batil nahi karti. aur wo ratoobat jo kabhi kabhi mani k baad kharij hote hai jise Wazi kaha jaata hai.ya Wo ratoobat jo baz awqat peshab k bad niklti hai osay Wadi kehtay hain agar is se peshab mila hua na ho to pak hai is k alawa is se ghusl wajib nahi hota hai. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 31th, Maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Mard k liye na_mehram oraton ka jism dekhna or isi un k balon ko dekhna chahe lazzat k irade se ho ya us k bager , Hram men mubtala hone ka khoaf ho ya na ho Hraam hai. un k chehre pr nigah dalna or hathon ko kalaiyon tk dekhna agr lazzat k irade se ho ya hram men mubtala hone ka khoaf ho to hram hai, Balke Ehtiyat-e-Mustahib ye hai k lazzat k irade k bager or haram men mubtala hone ka khoaf na ho tab bhi na dekhe. (Ref : Ayat_ullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, Edition # 31th, Maslaa # 2397)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.