Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question haiz ki halat main kia biwi kay pass jana bi haram hay kia ya phir kiss waqera ya sex kay aza ko chosa ja sakta hay 
Answer 1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho. 2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.