Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aoa.mujy btaien k periods k baad nahany ka tareeka kya pehly wuzo zarori hai aur kya pak hony k liye kuch parhna hota hai? aur aurton ka un ki sharmgah aur underarms sy bal otarna zarori hota kya pak honay k liye 
Answer 1)Aurat k haiz se paak ho janay k baad is per wajib he k namaz aur is jaisi doosri ibadaat jinhain wuzu , ghusl , ya tayammum k saath ada kerna zarori hay ghusl haiz karay . is ghusl ka tareeqa ghusl e janabat ki tarah hai. Ghusl e haiz wazoo ki jigha kafi hai albetta behtr ye hai k ghusl sai pehlay wazoo bhi kray. 2) Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay: sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa. ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay. 3) (Aur gusl ki niyat) Ye zurari nehi ke gusl k waqt ye niyat karay ka wajib gusl kar rhi hon bal k faqat qurbatan illaha yani bargah e ellahi me farotni or aajzy ke ireda se gusl karay to kafi ha. (Ref : Tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 456 , 360-365) 4) Haiz k ghusl k lie koi dua nahi. (Ref : E-mail rec from ayatollah sistani d.b. dated : March 1, 2011)5)Riwayat k mutabiq puray badan par noora(Badan k baal katna) lagana mustahabb hai. 6)Riwayat mai takeed hai k mard 40 din tk aur aurat 20 din tk noora karey (Ref : http://sistani.org/index.php?p=827020&id=928&page=3&perpage=10 ques # 23)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.