Answer |
1)Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref : kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2)Sardard ka wazifa: Sar dard k dor honay k lie surah e taha surah # 20 ki ayat # 25 ta 28 ko 3 dafa parhnay sai sar dard mai bohat ifaqa hota hai. .(Ref : 2000 Dastoorul Amal pg # 404)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|