Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khoie 
Question salaam, mujh per kuch rozoon ke kaffare wajib hain aur me chahti hoon ke woh sath(60) faqiroon wala aada karoon laikin mere liye bohot mushkil balke taqreban na mumkeen hai ke ye sath(60) faqiroon ko dhundh ker khana khila sakoon to kya me aisa kar sakti hoon ke kissi aik family ke afraad ke mutabik mahine(month) ke rashan ke jitne paise bante hain pake huwe khane ke badle dedon ya shariat me koi aur tarika agar ho to please mujhe batain jis family ko me daina chahti hoon woh sadaat hain aur un ki income un ke kharch se bohot kam hai aur is me shoher biwi aik pandra(15) saal ki larki aur 3 chote bache hain to in ka kis tarha se hisaab hoga. Aur mujhe sare rozoon ke kafaare inhi ko daine hain to puri rakam aik sath de sakti hoon ? aur kya in ko batana wajib hai ke kaffare ke paise hain ya aise hi madad ke hisaab se desakte hain ? 
Answer Salam-un-alaikum Aap key liye jayez nahi hay keh kisee aik shaks ko aik rozay ka kaffara 750 grams (3 paao) sey ziyada dein. Haan, aap aik faqeer ko har rozay key kaffaray mein 750 grams dey saktay hein. Kaffaray mein khana hee daina zaroori hay rakam kee ijazat nahi hay. Unhein yeh batana zaroori nahi hay keh yeh kaffara hay. Agar aap ko 60 faqeer talash karney mein probelem ho rahi hay to aap QURAN-O-ITRAT ACADEMY sey rujoo kar sakti hein. Ref: Tawzeeh ul Masail Aqai Khoi Probe No. 1695 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.