Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Period 
Question Assalam o alaikum sis ye question hum 2bar kar raha pls pls jawab de djea sis question ye hai kya ladki log period k waqt QURAN PAK K AYAT padh sakte hai? Ya phir apni zuban se dua mang sakte hai kya? Pls answer me sis hum majbur hai.. Jazakallah 
Answer 1)Haaiz(wo aurat jo periods mai ho) k lye quran majeed parhna baaz fuqha k nazdeeq makrooh hai. magar ayatollah sistani d.b. k mutabiq makrooh nhi hai. 2)Haaiz aurat par quran ki surah sajda ayat # 15, surah ha-meem sajda ki ayat # 37, surah najam ki ayat # 62, surah alaq ki ayat #19 ka perhna haram hai. 3)Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 448, 354, 466-67). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.