Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question assalam-o- alekum masala yehai ke agar kisi mard ya aurat ka shadi ka irada ho tu wo kisi bhi na mehram se shadi se pehle baat cheet ya mulaqat karsakte hain ya nahi jabke dono aik doosre ke lie na mehram hain or ye mulaqat doonon ke ghar waloon ke baghier alag kamre main ho rahi ho magar ghar waloon ko pata hai? 
Answer Ek kahtoon se aysi batain ki ja sakti hain jin ka natija kisi akhlaqi fasad ki soorat main n nikal raha ho jab k koi aysi bat bhi na ki ja rahi ho jis ka kisi ajanabi kahtoon k sath kiya jana munasib nahin hota. isi tarah bagair lazzat k erade k us ki batain bhi suni ja sakti hain jab k haram main n padne ka bhi etminan ho. albatta orat ki zimmedari bhi he k wo apni awaz ko atna khubsurat or barik n banae jo insan k jazbat ko abharne wali ho. (mujthid se puchhe gaye sawalat Aytullah Seestani (d.b.) part 4 q.127 pub. by quran-o-itrat academy) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.