Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Assalam o Alaikum. mera sawal yeah he k child ki birth (pedaish) pe name rakhnay k baray me kia hukum he kuch log kehtay he k date aur time k hisab say word choose kia jata he phir os pehlay word say name rakha jata he. hum agar Imam k name say rakhtay he to kia is me bhe date aur waqt k hisab say name rakha jata he . ya jesay me sochta ho k betay ka name Muhammad Hassan ya Hassan Ali rakho to kia hukum he k apni marzi say name rakh saktay he ya sahe time k hisab say word choose karna lazmi he. aur me apni beti ka name insya fatima rakhna chahta ho is baray me yeah jan na chahta ho k insya Bibi fatima ki kunyat he. me insya fatima, insya batool ya phir insya khurram rakh sakta ho. Please advice Thanks Khurram Ali  
Answer w.s. mustahab he ke bache ka achha nam rakha jae chunke yeh bachhe ka bap par haq he, or riwayat me aya he k "sab se sachha nam wo he ke jis me Allah jall shanohu ki ubudiyyat shamil ho or namo me sab se achha ambiya salwatullahe alyhim ke nam he" or inhi ke sath aeema alyhemusslam k namo ko bhi mulhiq qiya jayega. or nabi salllaho alyhe w aalehi wasllam se marawi he k aap ne farmaya: jis k yaha char awlad ho or usne un me se ek ka nam bhi mere nam se nahi rakha to usne ne mujh par jafa ki" or makrooh he agar bachhe ka nam mohammad ho to us ki kuniyyat abul qasim rakhi jae or eesi tarh makrooh he ke aemma salwatullah alyhim ajmaeen ke dushmano ke nam se bachhe ka nam rakha jae. (ref: munhajus salehenn Part-1 Aytulla Seestani (d.b.) masala no.387 page no. 117) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.