Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Khamnaie 
Question assalamo alaikum,mera question yeh hai kay main taqreeban 2 months pregnant hoon,or abhy ramzan ka month aaraha hai,to rozay kay baray main poochna tha kay kya main rozay rakh sakty hoon,i know kay ye wajib rozay hain but abhy pregnancy bohat initail stage pay hai,or yahan roza subah 4.30 say shroo hoga or 9.00 pay khatam hoga,to main sirf yeh poochna chahty hoon kay main roza rakh sath hoon pragnancy main ya nahin,issay mery pragnancy pay koiasar to nahin paray ga or if para to mujhpay koi gunah to nahin hoga,yeh mery 3rd pragnancy hai meray mashallah 2 bachay hain,plz mujhay reply dijye,if doctor say poocha to woh to mana hi kartay hain,allah appki salmti rakhay,wassalam. 
Answer w.s. agar roza rakhne ki wajah se maa ko apane bachche k liye zarar ka khouf ho aur us ka khouf oklaee wajah se ho to phir us par roza tark karna wajib he warna roza rakhna wajib he. (ref: istiftaat k jawabat Aytullah Khamnaie (d.b.) part 1 page no.216) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.