Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Assalam O Alykum Mera sawal ye hay kay mera 7th month chal raha hay mainay khuch time pehlay ultrasound kar wai thi Dostor nay kaha kay baby week hay or uski growth bohat slow hay kya main Ramzan kay rozay rakhun gi qaza to main InshALLAh jaldi hi rakh lungi magar kya mughay ye rozay rakhnay lazm hain please jaldi explain kar dain 
Answer bismehi taala, agar kisi bade nuqsan ka andesha na ho, aap ki apni zat ya bachche ko koi jani khatra bhi na ho aur doctor ne mana bhi na kiya ho to roza rakhne me koi haraja nahin he, albatta agar is qisam ka zarar ho jo aam tor se bardasht na kiya jata ho to roza rakhna saheeh nahi he aur agar woh zarar mout ya is jaysi kisi cheez ka sabab ban raha ho to phir roza rakhna haram he. (ref: mujthid se puchhe gaye sawalat part: roza Aytullah Seestani (d.b.) page no.80 pub. by quran-o-itrat academy) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.