Answer |
Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyat-e-wajib ye hai k supari se kam miqdar main bhi dokhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr(peche wali sharam gah) mai jima k lie nhi hai laikin dubr(peche wali sharam gha) mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haaiz ho ya na ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |