Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Asslam-o-Alaikum, mera sawal yeah hai kai ager raat mai biwi kai saath suhbat ki hoo. aur subah sehri mai aankh na khulee hoo, to rooza rukh suktai hai ya nahi....  
Answer w.s., agar koi shakhs mahe ramzan ki rat junub ho aur yaqeen rakhta ho k agar so gaya to subah ki azan se pehle bedar ho jayega aur us ka musammam irada ho k bedar hone k baad ghusl karega aur is irade k sath so jaye aur azan tak sota rahe to us ka roza saheeh he. aur agar koi shakhs subah ki azan se pehle bedar hone k bare me mutameen ho to us k liye bhi yahi hukam he. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1636) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.