Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name muslim 
Question Aoa, janab mujay yee pochna hai kai kya murd or urat humbestry kai waqat kya ayk dosray kai her uzo (uzaye tansal.urat ke peshab wali jagha)pai hath laga saktay hain ya nahi .or islam mai hum bestry kai leye kya ahkam hain .. 
Answer 1)Shohar aur biwi dono aik doosray k badan k kisi bhi hissay ko dosray k badan k kisi bhi hissay sai mas kar saktay hain ya choo saktay hain chahaey lazzat se ho ya baghair lazzat k. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) 2) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) .Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.