Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question kya muta kisi non-muslim sai jaiz hai shohar apni biwi kai kon kon sai jism kai hisson ko bosa de sakta hai kya shohar biwi kai saath peeche sai jama kar sakta hai is sai nikah to nahi tootta agar koi apni sharamgah ko mani na nikalne ki niat sai harkat de aur sirf lazzat kai liye to kia use gunah mile ga  
Answer A.Sistani kay nazdeek ,Yahoodi aur eesai aurtoon say muta karnay main koi haraj nahi laikin aihtiyat-e-lazim ki bina par un say daaimi aqd na kiya jaey aur majoosi aurat say aihtiyat-e-wajib ki bina par nikah hatta kay muta bhi nahi karna chahiye aur baaz firqay masalan naasibi jo apnay aap ko musalmaan samajhtay hain kuffaar kay hukum main hain aur musalmaan mard aur aurtain un kay saath daaimi ya ghair daaimi nikah nahi kar saktay aur yehi hukum murtad ka hay...Aurat ki marzi kay baghair peechay say jima karna jaiz nahi hay aur aurat ki marzi kay saath bhi shadeed makrooh hay laikin is say nikah batil nahi hota(toot-ta).mard aurat say mutaaraf jinsi lazzaat hasil kar sakta hay (masalan bosa dena) laikin ghair mutaaraf lazzaat (masalan peechay say jima karna) kay liye aurat ka raazi hona zaroori hay...Agar uzu-e-tanasul ko harkat dena mani nikalnay ka sabab na banay to aihtiyat-e-lazim ki bina par aisa karna jaiz nahi hay aur agar mani nikalnay ka sabab banay to haram hay.Ref:I-44,I-38,I-39,Tauzeehul Masail Masala No.2357. .Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.