Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question maira nikkah ho chuka hai aur rukhsati next month hai, Q1)kia shadi ki pehli raat means valima say pehlay yeh lazmi hai k mujhay apni biwi say intercourse kerna hai warna valima halal nahi hota? Q2) maire biwi chahte hai k hum bacha k liey 1 year baad intercourse kerain aur 1 saal khud time guzarain, in this case kia condom use kerna jaiz hai? aur husband apni biwi say kitni bar sex ker sakta hai jis say nuksan na ho? aur agar biwi pregnant ho tab bhi us say intercourse kia ja sakta hai ? waiting for your reply 
Answer 1)Shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi. 2)Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho Bivi k liay zarori(wajib) hay k jab bhi shohar os say jinsi lazzat(sex) hasil kerna chahay tu oski khahish pori karay or shar’e ruzr(any Islamic reson,i.e:in periods) k baghair shohar ko hambistari say nah rokay.(tauzee hul masail,Agha Seestani(d.b),maslah #2382,2376) shohar k liay jaiz hay k wo condom ko istimaal karay laikin is maqsad k ehtiyaat e wajib ye hay k pehlay apni bivi say ijazat lay lay.(Jadeed fiqhi masail,Maslah#455,Ayatullah Seestani(d.b) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.