Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question kya shadi shuda musht zani(khud lazati)kar sakti hai. aur agar khawab mein deikhay key us ney amal anjam deya hai aur jagney per us ka hand sharm gha per ho to kya us per ghusal-e-janabat vajib hai.plz rehnumai farmaye. 
Answer 1) Istimna(Musht zani) kisi bhi zerye se ho haram hay.(Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2)Aurat k lie apni sharam gah ko itna cherhna jaiz nahi he k is ki lazzat urooj tak pounch jey aur usi inzal ho jay aur agar us se is ki lazzat urooj tak pounch jay aur us se behnay wala mawad kharij ho jay to is per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266) 3)Wo ratubat jo aurat say shehwat kay saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.