Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question salam. mera sawal ye he k eid 3 days tak manai jati he tu eid k 2nd and 3rd day ka roza haram he makroh he mustahub ya mubah?aur agar koi deen pe strictly amal karta ho lekin bachpan me agar us ne masail na janne ki waja se apne wajib roze kaza kr diye tu kia kaza k sath koi kaffara bhi dena hota he aur wo kaffara kia he aur agar kici k pas kaffare ki raqam na ho tu kia responsibility he ?plz reply as soon as possible 
Answer 1)Faqat eid k pehlay din roza rakhna haram he eid k dosray or tessray din raza rakna mustahab hay balkeh saal k tamaam dino k rozay rakhna mustahab hain siwaay chand din k rozo k jin main roza rakhna haram ya makhroh hay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1709-1718). 2) Agar koi shakhs ramzan k roze ko khana(food), pina(drink),jima(hambistari), istimna, ya janabat per baqi rahne ki wajah se batil karey jabkeh jabar (zabardisti) aur na’chari ki bina per nahi balkeh amadan(jaan boojh kar) aur ekhtiyaar se aisa kia ho to is per qaza k alawa kaffarah bhi wajib ho ga. Aur jo koi mazkoora omoor k alawa kisi aur tariqay se roza baatil karay to ehthiyaat e mustahab ye he k wo qaza k alawa kaffarah bhi day. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1630). 3)agar kisi shaks ko maloom hi nah ho k os per roza wajib hay tu os per koe kaffara wajib nahi hoga. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1631). 4)agar koe shaks ramazan k rozo ki qaza kernay main kae saal ki takheer ker day tu zarori hay k qaza karay or pehlay saal main takheer kernay ki wajah say her rozay k liay 1 mud khana ghareeb ko day laikin baqi kae saal ki takheer k liay khuch bhi wajib nahi hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1680). 5) Ramzan ka roza torhne kay kaffare ke tor per zaroori he k aik ghulaam azaad kare ya us tariqe ki mutabiq jo bayan kiya gaya hay do mahine(months) roze rakhe ya 60 faqiro ko pait bhar ker khana khilaye ya har faqeer ko aik mud taqriben ¾ kilo ta’aam yani gandum(wheat) ya jau(barley) ya roti wagira dey. Aur agar ye af’aal anjaam dena is k lie mumkin na hon to ba qadr- e - imqaan sadqa dena zurari he aur agar ye bhi mumkin na ho to toba aur istighfaar karey aur ethiyaat e wajib ye he k jis waqt (kaffarah dena k ) qaabil ho jaay kaffara dey.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1632). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.