Answer |
1)Sigha nikah k zarie mard aurat per aur aurat mard per halal ho jate hai(yani mian biwi wale talukat qaim ker sakte hai) .(Aur nikah k baad rukhsati hona zarori nahi hai) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) before Masla # 2328)2)Agar riwaj yehi ho k jab tak rukhsati nahi hoti is waqt tak larki apnay aap ko apne shohar k lie pash nahi karti is tara se k ise aik zimne sart samja jata ho to phir aurat k laye nikah k baad rukhsati se phele shohar k lie apnay aap ko pesh karna wajib nahi hai.(Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 149, pg # 72)3)Biwi k alawa kisi sai fahash kalam karna haram hai chahae phone mai baat karain ya kisi aur tareeqay sai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 2, masla # 34).Update on dated 07-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |