Answer |
1)Jins e mukhalif se dosti kerna aur baat cheet karna jaiz nhi q k gunah me mubtila hone ka khof majood he. ( kitab nigah aur libas ques # 106 , pg # 69).
2)wo ratubat jo khabi khabi shehwat ubhrnay par mard ki penis sai kharij hoti hai osay mazi kehtay hain, agar peshab us se mila hua na ho to pak hai. aur is halat mai namaz aur doosri ibadaat kar saktay hain. Laikin agar yaqeen ho k mani kharij hui hai to ghusl e janab wajib ho ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70, 344)
3)Sub sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof kar lain jaisay sport, kitab perhna waghira, or har os cheez sai bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|