Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Asslam o ALikum Muffti sahab me ek doctor hun mufti sahab mery pas ek patient ka ilaj chal raha hai jis ki umer taqreban 19 sal hai us ka masla ye hai k us ki peshab ki nali se pishab k qatry niklty hain kabi k bar lais dar b nikalty hain pishab k qatry khasosan ek us waqt jab wo nahaty waqt jhukta hai ya bethta hai or jab wuzo k doran paon dhony k liye apny pao WASH BASIN tak uthata hai tab pishab k qatry bahar a jaty hain jis se wuzo mukamal nahi ho pata sawal ye hai k nahany k doran jab wo jhukta hai to qatra bahar a jatta hai jab jab thorra sa b jhuky ya uthy bethy qatra bahr nikal ata hai ager esy me wo ghusal pora kar k wahSroom se bahar a jata hai to kia us ka ghusal mukammal ho giya? 2-> ise traha us ka wuzo mukamal nahi ho pata lekin wo ek bar pora wuzo kar ly to kia us ka wuzo ho giya? or mufti sahab jesa k us ka wuzo mukammal nahi ho pata jab tak us ka maslah theek nahi ho jata... kai wo ise tarha incomplete wuzo se namaz qaim kar sakta hai? os ko is traha incomplete wuzo se namaz parrhny par ghunah to nahi ho raha?? ya jab tak us ka masla theek nahi ho jata wo namaz parrh he nahi sakta?? kun k qatry nikalny par us ka underwear ganda ho jata hai to kia aesy me wo pak reh raha hai?? PLEASE IS MASLY K BARY ME SHARIYAT KIA HUKAM DETI HAI MAIL K ZARIYE HE BATA DIJIYE TV PAR NA BATAIYE KA PATIENT KAFI PARESHAN HAI US KO KIA KARNA CHAIYE..? 
Answer Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Akhrot ka har roz khana peshab k qatray qatray aanay wali beemari k lie faiday mand hai. (Ref : Kitab Makhzan e Amaliat pg # 79) 2)Jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 311)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.