Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question me jaanana chaata hun k jab pata chal jai k us ki begum pregnant ho gi ha starting days me hi . to kiya es dooran milny sy koi problems ho sakti ha ? or kiya kb tk nhi milna chaiye ? 
Answer 1) Jab biwi hamila ho to wazu kar k hambistri karna mustahib he. 2)Haamilah (pregnant) biwi say hambistari (Intercourse) kerna haram nahi hay.Biwi say halat e haiz(period) or nifaas main hambistari kerna haraam hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen,part#3,maslah#5 (tauzeehul masail,Ayatullah Sistani (d.b.),maslah #2382).,email Received from Ayat Ullah Seestani(d.b),dated 13-07-10,Tauzee hul masail, maslah#448,504). Note: Doran e hamal jima kertay waqt is baat ka zaroor khiyaal rakha jay k aap jima k waqt bivi k pait per apnay jism ka wazan nah daalain, is say hamal ko nuqsaan pohanch sakta hay.aam taur per doctor hazraat 8th mahinay say jima kernay say mana kertay hain.laikin ye her aurat ki jismani kaifiyaat or taqat per muhasir (depend) hota hay.hum aap say guzarish kertay hain k aap is silsilay main apni bivi k lady doctor say ruju karain or hamal ko nuqsan pohchanay wali chizoo say perhaiz karain. .Update on dated 03-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.