Answer |
1)Haram k baray mai sochna agar inzal(mani kharij hona) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82)
2)Jo ratubat shewat anghaiz tasaworat k waqt insan apni sharamgah me mahsoos karta hai wo pak hai is se ghusal bhi wajib nahi hota hai aur na wazu batil hota hai.
3)Mani k niklnay sai insan mujnib ho jata hai chahae kam niklay ya ziada, (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344, 345)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|