Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name lahore 
Question A.O.A mera sawal ye h k jb b ma call pe bat krta hun to muje qatre ate hen or dosra sawal ye k meri age 24 hy or mera jism boht hi patlla h jese dhancha h hadiyon ka sb mera mazak urate hen. Meri bari khuaish h jism mota krne ki jism kamzor h plz koi essa ilaaj btaen k dino ma jism mota ho jae meri job ka b masla h plz plz or jo ilaaj ap btaen to plz ye btaiye ga k ye k wo mdisn kb tk khani h or kese khani h. Im w8 your answer., plz w.salam 
Answer 1)1)Agar ye qatray wo hain wo khabi khabi shewat ubharnay par mard ki peshab ki nail mai aa jatay hain to ye pak hai aur is sai roza bail nahi hota hai. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat roza ques # 40 pg # 33) 2)Agar yaqeen ho k ye qatray mani hain to roza batil ho jae ga. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) 2)Wazan barhanay k lie : Khajoor ka 1 dana ublay hoay chawal k pani k sath khoob achi terah pees lain phir is main thorha sa pani mila ker chotay bachcho ko 2, 3 mertaba dainay se kamzoor bacahy tandrust or tawana ho jatay hain. 2-Pakay hoay timataro ka taza rus chotay bacho ko din main 2, 3 baar dainay se bachchay sheet mand o tawana hotay hain. (Ref: Book, Tandurusti aap k hath main,published by aalamgeer welfare turust, pg#39). 3)Job k lie : Agar koi shakhs rozgar sai mehroom ho gya ho ya rozgar na milta ho to nochandi jumarat aur juma roza rakhay shab e juma mai bistr par janay sai pehlay surah yousuf ki ayat no. 54 say 56 tak aayat ko chnd martaba parhain. Roz e juma namaz e subah aur baad namaz e zohar in aayaat ki tilawat karay aur zohar aur asr k darmian in ayaat ko kaghaz par likhay baad e asr, maghrib aur isha bhi tilawat ko tark na karay aur bistr e khawb par tilawat karnay k baad 100 martaba “ la illaha il’lal’la ” aur 100 martaba “ Allaho akhbar ” aur 100 martaba “ Almamdo lil’lah ” aur 100 martaba “ subhan Allaha ” keh kar takiey(pillow) k nichay rakh kar so jae subah ko bedar honay k baad is noshtay ko taweez bana kar dahanay hath par bandh lay aur Khuda sai pukhta ehad karay k kisi par ziadti na karay ga. inshAllah jald rozgar mil jae ga. Aur agar koi shakhs ye ayaat nahi parh sakta to wo khud roza rakh kar ayaat kisi sai likhwa layaur in tasbeehaat ko parhta rahay. (Ref : Aasar e Ahlbait a.s. pg # 100-01)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.