Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question Assalamualikum, maulana saheb main yeh janna chahti hu k mujhe 72 hr se kam hoti hai bleeding or 4-5 ghante baad halka sa hota hai fir 3din tak nahi hota hai ya kabhi kabhi halka halka roz hota hai ya 3 din baad aathwe ya nave din ya duswe thodi c bleeding hoti hai aese mein mujhe samajh nahi aata k main kab se start karu namaz or ye haiz hai k nahi.......please jaldi bataiyega  
Answer 1) haiz ki muddat 3 din se kam aur 10 din se ziada nahi hoti he aur agar khoon anay ki muddat 3 din se zara bhi kam ho to wo haiz nahi he. 2) Haiz k lie zurari he k pehlay 3 din lagatar aye lehaza agar missal k toor per kisi aurat ko 2 din khoon aye phir aik din na aye aur phir aik din aa jay to wo haiz nahi he. 3) Haiz ki ibtida me khoon ka bahir ana zurari he lakin ye zurari nahi he k puray 3 din khoon nikalta rehay balke agar sharam gah me khoon majood ho to kafi he aur agar 3 dinoo mein thoray se waqt k lie koi aurat pak ho bhi jay jaisa k tamam ya baaz auratoon k darmian mutarif he tab bhi wo haiz he. 4) Agar kisi aurat ko 3 din mutaawatir khoon aata rehay phir wo pak ho jay . phir wo dubara khoon dekhay to jin dinoo me wo khoon dekhay aur jin dinoo me wo pak ho in tamaam dinoo ko mila kar agar 10 din se ziada na ho to jin dinoo me wo khoon dekhay wo haiz k din hein lakin ethiat e lazim ki bina per paki k dinoo me wo in tamaam umoor ko jo pak aurat per wajib hein anjam de aur jo umoor haiza per haram hein inhain tark kar dein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 438-442) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.