Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sistani 
Question Salam agar mai 1 box mai daily sadaqa ke paise nikal kar box mai dalta jao & month end per ya jab rakam bhut ziada hu jae tab kese foundation / organisation / family ko de do. to esa karna jaiz hai??? aur ye daily ka sadqa count huga ya jis din sadqa foundation / organisation / family ke hath mai jae ga only us din ka???? 
Answer Agar aap nay us family ya mustahiq ya idare say pehlay baat ker k ijazat lay li thi k aap rooz k rooz sadqa jama karain gay aur phir aik sath dain gay (chahe month k end par ya chahay barhi raqam ho jane par) tu wo rooz ka rooz saqa shumaar hoga aur phir wo usi faqeer ki milkiyat shumaar hoga aur agr aap nay pehle baat nahi ki thi tu phir wo puri raqam osi din sadqa shumar hogi jis din aap usay mustahiq ko dain ge.(Ref:Book mujtahid say poochay gaey sawalat, ayatollah sistani(d.b) Mafhoom e maslah#185, pg#90). Update on dated 15-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.