Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question kya hand practise jaiz a?agr ni to kia wja aur kia gunah a 
Answer 1)Istemna krna (hand practice) haram hai chahaey kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) 2)Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). 3) Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-farmani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.