Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name sunni 
Question Salam. ye kasy pta chlay ga ky kharig mani hy ya ratubat ya kuch or plz in ma difference bta dn. 2. agar 3 ya 4 drop nikly ho or mahsoos na ho or ye sookh jay tab en ma farq kesy pta cahly ga. 
Answer Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain. Agr ksi shaks k maqam-e-peshab sy koi liquid niklay aur wo ye na janta ho k wo mani hai,peshab hai ya koi aur cheez tou agar wo liquid sehwat k sath niklay,uchal kr niklay aur us k nikalnay k baad badan sust hogaya ho tou wo mani hai lihaza wuzu toot jaega aur gusal-e-janabat bhi krna hoga,lakin agar sari ki sari nishania ya in mai sy kuch mojood na hoon tou wo mani nahi hai,lihaza agar wo peshab hai tou wuzu toot jaega magar gusal nahi krna parega.is k ilawa agr wo liquid jo kbhi kbhi sehwat(sex intentions) ubharnay par merd k penis sy nikalta,nikla hai tou usay mazee kehtay hain aur wo paak hoti hai aur us sy wuzu bhi nahi tootta aur gusal bhi nahi krna hota. (Ref:Ayatullah Sitsani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #70,345). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.