Answer |
Note : Is website mai fiqh e jafaria k mutabiq jawabat diay jatay hain.
Halat e janabat main baghair quran k alfaaz ko hath lagay Quran ki on ayaat ko perhna jaiz hay jin main wajib sajdah nah hota.Laikin Quran majeed ki 7 se ziyada aisi ayaat perhna jin main sajdah wajib nah ho makhrooh hay.Halat janabat main on 4 ayaat ko perhna jin k perhnay se sajdah wajib ho jata hay,haram hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 354-5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|