Answer |
Wssalam o alykum, ager ap us waqt shewat ki intihai halat main hon or shehwat ke sath nikli ho or is miqdaar main nikli ho ke ap ke libaas ko aloda kar de or is ko inzaal kaha ja sake (yani is ke nikalne ke baad ap ki shewat kam ho jaae) to ye ratobat mani hai or is ki waja se namaaz or is jesi ibaadaat ke liye gusal e janabat wajib hai or gusal e janabat ke baad zarori hai ke namaaz wageera ke liye wazo na kare. or ager ye condition na hon to gusal e janabat wajib nahi hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 33 , maslah # 345 , 389 , ALLAH Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |