Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name wife k mahwari k day  
Question sir ma pouchna chahta ho k jb wife ko mahwari k day ho tu aen day ma wife k katny kreeb ja skty hai ?kia kar sakty hain kia nahe kar sakty? plz mera Question ka answear asan urdu words ma dana thankyou sir mujay app k answear ka wate rahay ga  
Answer 1)Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono k liay haram hai, chahay dukhool sirf supari(paishab ki nali ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkah ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jae. Albetta ye hokum aurat sai dubr mai jima k lie nhi hai laikin dubr mai jima, aurat k razi na honay ki surat mai ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nhi hai chahae wo haa’iz ho ya na ho. 2)Wo aurat jo haiz ki halat mai ho os sai jima k alawa doosri lutf-andozio maslan bas o kinar ki mumaneat nhi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448-451)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.