Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question sir agar musht zani ko chorne ka koi wazeefa hai to plzzzz btade me buhat pareshan ho is beemari se 
Answer 1)Surah e mominoon ki ayat # 5 mai hai k Sahib e eman wo hai k jo apni sharmgahoo ki hifazat krnay walay hain. Ye ayat ishara hai k zauja aur kaneez k alaea shewat ka koi rasta jaiz nhi isi lie Imam Jaffar e Sadiq a.s nai is ayat k hawalay sai khud kari(hand practice) ko haram qarar dia hai agar chahe roohul bayan(kitab ka nam hai) k mutabiq hanafi aur hambili fiqh mai ye amal jaiz hai. (Ref : Anwar e Quran Allama Zeeshan Haider Jawadi pg # 716) 2) Hand practice(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(Ref : jaded fiqhi masail aqa sistani d.b. pg no. 253 masla #462) 3)Sub sai pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehad or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day kar aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani kar rahay hain. aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof kar lain jaisay sport, kitab perhna waghira, or har os cheez sai bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.