Answer |
Istemna krna (hand practice) haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253)
Is gunah sai bachnay k lie humay un hadeeso ko dekhna chaheay k jin hadeeso mai is gunah ki muzammat ki gae hai, Aik hadees mai imam Jafar E Sadiq a.s. nai farmaya k qayamat k din khuda 3 qism k afrad sai kalam nahi karay ga aur inhain gunahoo sai pak nahi karay ga aur inhain dardnak azab ho ga. os mai sai aik ye hai k wo shaks istemna karta ho ga. Isi terah aap hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|