Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name no 
Question woh kon si koum hai jis pr sy Allah ne apna azab htalia tha? 
Answer ALLAH TALA ne Mosa(a.s) ki duwa k sabab Fironiyoon ko aakri azaab se pehle mukhtalif azaab se dochaar kiya or phir Mosa(a.s) ki duwa k sabab in se azaab ka taal diya gaya.(Ref : tareek ul islaam , baab # 21 , chapter # aale firoon mutalif aazaaboo main). Hazrat daniyaal nabi(a.s) k door main, in ki bad dua se ik qarye main qehet ka azaab aaya jis k natije main maan apne bacho ko khana shoro kar diya, or phir un hi ki dua k sabab is aazaab se un ko nijaat mili. (Ref : tareek ul islaam , baab # 32 , chapter #rooti ki naqadri, hazrat daaniyaal(a.s) ki bad duwa, shadeed qehat or bitiyoon ke khane ka waqiaa). ALLAH TALA ne Hazrat Yonus ki duwa k sabab in ki qoom per azaab ko muqarrar farmaa diya, or phir in ki qoom ne in k ik momin (Robeel) ki hidayat wali batoo ko sun kar Hazrat Yonus(a.s) per imaan laai or azaab se bachne k liye ALLAH TALA se istigfaar ki jis k sabab ALLAH TALA ne in se azaab ko taal diya. (Ref : tareek ul islaam , baab # 34 , chapter # nozool e aazaab ki derkuaast , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.