Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question agar apke pele se hi zyada bache ho or ap or bacha nehi karna chate to kya hum abotion kara sakte he....kya hum tablets condoms springprotetion istmal kar sakte he 
Answer Rehem main nutfa(mani) k qarar paanay(thehairnay) k baad isqaat e hamal kerna(abortion) jaiz nahi hay.or aurat k liay jaiz hay k wo hamal ko rooknay wali tablets istemaal karay is shart k saath k in tablets say aurat ko koe barha nuqsaan nah pohanchta ho.{yaani ye tablet hamal say pehlay khani hongi taa keh aurat ko hamal nah ho,hamal k baad abortion k laiy tablet khana jaiz nahi.}.merd k liay jaiz hay k wo condam istemaal karay laikin ehtiyaat wajib ye hay k is kk istemaal kernay say pehlay apni b.v say ijazat lay lay.or rahi baat coil (springprotetion) ki tu aurat is ko sirif is sorat main istemaal ker sakti hay k is say aurat ko koe barha nuqsaan nah pohanchta ho or is coil k istemaal k doraan koe haram kaam anjaam nah daina perhta ho.maslan Lady Doctor ko coil rakhtay waqt aurat ki sharamdaah ko daikhna ya baghiar dastanay k chona na perhay. kun k ye kaam haraaam hain or ye bhi shart hay k is coil ki wajah say thehra hoa nutfa zaya nah hojaay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #415,416,417,465). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.