Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name islam 
Question sir meray zehan main akser behuda aur ganday khayalat atay rehtay hain is waja se baaz okat kapray b napak ho jatay hain plz is se bachnay ka koi islami tareqa detail se bata dain je main panch waqit namaz b parh raha hon abi b nai yeh ruk raha..?  
Answer 1)Haram k baray mai sochna agar inzal(mani niklnay) ka sabab na banay to ehtiyat e mustahabb hai k osay trk kia jae. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 2, sawaal # 199,pg # 82) 2)Wo ratoobat jo khabi kabar shewat ubhrnay par mard ki sharamgah sai kharij hoti hai osi mazi kehtay hain aur wo paak hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 70) 3)Do cheezo say insaan junub(halat e janabat) hojata hay. i) jima(intercourse) or ii) mani(semen) k kharij(nikalnay say) honay say,chahay mani(semen) neend ki halat main niklay ya jaagtay main,kam ho ya ziyadah,shehwat(lazzat) k saath niklay ya baghair shehwat(lazzat) k or iska nikalna ikhtiyaar main ho ya nahi. 4)Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) 5)Taqwa e ilahi k zarye se is adat se nijaat hasil ki jay.or jin cheezo or maqamaat se jazbaat main tehreek(harkat) paida hoti hay un se door raha jay.or Allah e subhaan ka kasrat se zikr kia jay or shadi kerne main jaldi ki jay.or ye adat se bachne k liay ye sakht koshish ki jay or roza rakha jay q k roza burai say bachnay k liay dhal hay. (Ref: http://www.sistani.org/index.php?p=297396&id=262 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.