Answer |
Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain.
Periods mai un ibadaton k ada karnay mai koi haraj nahi jin k lie wazoo, ghusl ya tayammum karna zaroori nahi jaisay namaz e mayyat wagira. Is k alawa Haaiz k lie mustahab hai k namaz k waqt apnay aap ko khoon sai pak karay aur cotton aur kapra change karay aur wazoo karay aur agar wazoo na kar sakay to tayammum karay aur namaz ki jigha par qibla rukh ho kar zikr, dua aur salawat mai mashgool ho jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 448-66)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
|